A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 2:02:00 PM by shayarkishayari in    No comments
how to brush your teeth
The strenght of the teeth Yani danton ki mazbuti : Ek Sahib jin ki umar 100 baras se kuch kam thi apne donton(teeth) se ganna (Sugarcane) kha lete the aur farmate the ki jab sugarcane khata hun to mere danton (tooth) par javan admi rashk karte hain. Kisi ne un se danton-teeth ki mahafuzi aur mazbuti ka sabab daryaft kiya to farmaya: "Alaa Hazrat Rahamath Ullahi Tala Alai ne muze bachpan me ye amal bataya tha ki isha ke vitr jab pade jayen to pahli rakat me ba'de Al hamd surah "Iza JaAa" dusri me "Tabbat Yada" aur tisri me suratul "Iqlas" padne se dant-teeth umr bhar har taklif se mahafuz rahte hain. Jab se main isi tarha padta hun aur isi amal ki ye barkat hai"


Danton(Teeth) aur kano(Ear) Ki Hifazat ka Asan Amal

Jab chink aye to Alhamdulillahi kahe aur agar Rabbil Alamin bhi bada de yani "Alhamdulillahi Rabbil Alamin" kahna bahut hi behtar hai. Hazrate Maula Mushkil Kusha, Aliyul Murtaza,Shere Khuda Karamallahu Tala Wajhahul Karim Farmate hain. Jo shaks chink ane par par "Alhamdulillahi Rabbil Alamin Ala Kulli Hala" kahega use kabhi Daad aur kaan(ear) ka dard na hoga. Insha Allah Azzawajal Mufassire Shahir hakimul Ummath Hazrate Mufti Ahmad Yar Khan Alaihi Rahamatulla farmate hain: Jo koi shaks chink par kahe: "Alhamdulillahi Rabbil Alamin Ala Kulli Hala" aur apni zaban sare danton par fer liya kare to Insha Allah Azzawajal Danton(teeth) ki bimariyon se mahfuz rahega, mujarab (Yani Tajriba shuda amal) hai.[Miratul Manazh,J.6,S.396) Bahare Shariyat Jild 3 Safha 477 par hai: Chink ne wale se pahle hi sunne bale ne  Alhamdulillahi kaha to ek hadis me aya hai ki ye shaks donton(teeth) aur kanon(ear) ke dard aur tukhma se mahfuz rahega aur ek Hadis me hai ki kamar ke dard se mahafuz rahega.

Danth kamzor (Dental Weak) Hone Ki Ek Wajah

Khane ke Baad Khilal Kijiye Na karne se danth(teeth) kamjor ho jate hain.

Danton(Teeth) Ke Dard ke Do(2) Ilaj

  1. "Hing" ko pani me josh de kar kulliyan karne se danton ka dard door hota hai.
  2. Hilte huye danton me dard ho to "Hing" Ya " Akhar kharha" dant (tooth) me dabane se aram Aa jata hai.Masudon ki sujan door hoti hai.

 

Danton ka Khoon (Blood Teeth) Band Karne Ke Liye 5 Ilaj

  1.  Garam tavve vaghaira ke zariye fulayi huyi fitkari ka powder masudon me lagayiye.
  2. Limbu ka raas masudon par mali;ye.
  3. Seb ke raas me khane ka soda mila kar masudon me lagayiye.
  4. Din me tin martaba lal tamatar ka raas thoda thoda pi lijiye.
  5. Anar ke phool chaon me sukha kar khoob barik pis kar botal me bhar lijiye subah va sham manjan ke tarikhe par danton par maliye Insha Allah Azzawajal Khoon band ho jayega aur hilte dant bhi mazbut honge.

Danton Ka Pilapan(Yellowing of Teeth) Door Karne Ke 3 Ilaj

rotten teeth
  • Til ka tel, Limbu ka raas aur namak mila kar danton(teeth) par malne se Danton ka Pilapan(yellowing of teeth) door hota, Khoon band aur dard bhi door hota hai.
  • Limbu ke chilke sukha kar,pis kar uss me namak mila kar danth manjiye(brushing teeth) Insha Allah Azzawajal chamakdar ho jayenge.
  • Tin hisse namak aur ek hissa khane ka soda mila kar dibiya me rakh lijiye,rozana danton-teeth par laga kar do tin minute rahne dijiye fir dant-teeth manj lijiye Insha Allah Azzawajal dant saaf(clean teeth) ho jayenge.

Danton Se Pip Aane Ke 4 Ilaj

  1. Gandum ki chapati salan ke saath khoob achchi tarha chaba kar khayiye iss tarha masudon ki varjish bhi hogi aur gandum payeriya ke liye mufid bhi hai. Niz achchi tarha khoob chaba kar khane se bahut sari bimariyon se tahaffuz bhi hasil hota hai (Agar chabane ke doran khoon ya pip ata ho to ye ilaj mat kijiye varna khoon ya pip pet me jayega).
  2. Palak ka raas pina bhi mufid hai, Behatar hai ki iss me gajar ka raas bhi shamil kar lijiye.
  3. Amrud ke darakht ki  kumpalen (Naye narm patte) munasib mikdar me khayiye.
  4. Handa, namak aur kali mirch ham vazan barik pis lijiye aur iss se din me 2 bar manjan kijiye Insha Allah Azzawajal masudon ki sujan aur payeriya ka behtarin ilaj hai.

Danton ke Tamam Amraz (All Dental Problems) Ka Ilaj

Miswak Danton ke tamam amraz ka ilaj hai jab ki iss ko usul ke mutabik kiya jaye. Aaj kal aksar log shayad miswak nahi, Fakhat "Rasme Miswak" ada karte hain. Aur miswak karna sunnat hai. miswak ke kuch faide niche diye gayi hai.
  1. Miswak ki motayi chungliya yani choti ungali ke barabar ho.
  2. Miswak ek balisht se jaida lambi na ho varna uss par shaitan bait ta hai.
  3. Miswak ke reshe narm ho ki sakht reshe danton(teeth) aur masudon ke darmiyan khalaA(gap) ka bayis bante hain.
  4. Miswak taza ho to khoob varna kuch der pani ke gilas me bhigo kar narm kar lijiye.
  5. Miswak ke reshe rozana katte rahiye ki uss waqht tak kar amad rahte hain jab tak in me talkhi bakhi rahe.
  6. Danton(teeth) ki chodayi me miswak kijiye.
  7. Jab bhi miswak karna ho kam Aaz kam tin bar kijiye.
  8. Har bar dho lijiye.
  9. Miswak sidhe haat me iss tarha lijiye ki chungliya iss niche aur bich ki tin ungliyan upar aur anghuta sire par ho.
  10. Pahle sidhi taraf ke upar ke danton par fir ulti taraf ke upar ke danton par fir sidhi taraf niche fir ulti taraf niche miswak kijiyel.
  11. Chit lait kar miswak karne se tilli bad jane aur mutthi band kar karne se bavasir ho jane ka andesha hai.
  12. Miswak wazu ki sunnate khabliya hai albatta sunnate muakkada usi waqht hai jab ki muh me badbu ho.
  13. Miswak na khabile istimal ho jaye to fenk mat dijiye ki ye alya adaye sunnat hai, kisi jagah ehtiyat se rakh dijiye ya dafan kar dijiye ya patthar vaghaira vazan band kar samundar me dabo dijiye. Miswak ya mukhaddas avrakh vaghaira kinare par dal dene se baha kar vapas Aa jane ka imkan rahta hai.gahare samundar me dalte waqht bhi mukhaddas avrakh ke thele ya bori me do ek jagah shigaf yani chire vaghaira jaroor daliye taki pani andar Aa jaya aur tah me bitha de(Tafsili malumat ke liye bahare shariyat  jild avval s.294 ta 295 ka mutaAla farma lijiye) 

Taking Care Of  Teeth (Danton Ki Hifazat) Ke 3 Nuskhe

  1. Hamesha chay ya kafi pine ke baad thoda thoda pani piyale me dal kar khoob hila kar kulli bhar lijiye aur chand baar muh me fira kar  khoob jumbishe de kar pi lijiye ya nikal dijiye, yesa hi tin bar kijiye. Isi tarha har Ghiza khane ke baad bhi ye amal kijiye.Insha Allah Azzawajal Danth saaf rahenge.
  2. Jab bhi mokha mile muh me kulli bhar lijiye aur chand minat tak hilate rahiye fir ugal dijiye.ye amal rozana mukhtalif avkat me chand bar kijiye.
  3. Agar mazkura andar par kulliyon ke liye sada pani ke bajay namak vala nim garam pani istimal kiya jaye to mazid mugid hai.agar pabandi se ye ilaj jari rakhenge to insha allah azzawajal danton ke darmiyan atke huye ghiza ke azza dhool dhoo kar nikalte rahenge, na voh masudon me tahrenge ki saden, Insha Allah Azzawajal iss tarha karne se masudon me khoon ki shikayat bhi na hogi aur danton ki  be shumar bimariyon se bache rahenge.

Danton Ko Bimari Se (Dental Disease) Bachane ka behtarin Nuskha

Yaad rahe! Dat'Kar khane se hazima kharab hota, tarha tarha ki bimariyan paida hoti aur aksar masudon se khoon bhi ata hai. Pet ka kufle madina lagane yani bhuk se kam khane ki adat banayiye.Pizza,Parote,Hotel ki nahariyon,Kabab Samoson,Mithayiyon,Pakodon,Puriyon,Kchoriyon aur AnvaA va aksam ki tali huyi chijon ,tarha tarha ki mithi dishon aur isi tarha ki digar de se hazam hone vali gizaon niz ayskrimon,kola mashrubon aur thande thande sharbaton vaghaira ke istimal se parhez kijiye. Insha Allah Azzawajal Motape sameth bahut sari bimariyon ke saat saat masudon se ane vala khoon bhi band ho jayega.