A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 11:25:00 AM by shayarkishayari in ,    No comments
roohaniamal
Hazrat Aysha Siddikha Raziyallah Tala Anhu se Ravayat hai ki rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ne irshad farmaya:"miswaq muh ko paak karne wali aur parvardigar ko razi karne vali chiz hai.(Anwarul Hadis:133)

Aur Hazrat Abu Huraira Raziyallah Tala Anhu se Ravayat hai ki rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ne irshad farmaya: "Agar mujhe apni ummat par dushvar na lagta to main unhen har namaz ke vakht miswaq karne ka hukum deta.(muslim sharif)

Mere pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam ke pyare divano.pahli hadis me misvak ke do favayid zikr kiye gaye,ek duniyavi faida ki usse muh suthra to ho jata hai aur dusra ukhravi faida ki uske zariye allah azzawajal ki  khusnudi hasil hoti hai aur dusri hadis me ummat ko nabi karim Sallallahu Alaihi O Sallam me raghbat dilayi ki miswaq mujhe iss had taak muhbub hai ki agar ummat ki dushvari ka ehsas na hota to un par miswaq karna lazim kar diya jata.isse miswaq ki ahmiyat bilkul wazeh ho jati hai ki miswaq karna khud ek aham sunnat ki haisiyat rakhta hai.aur duniyavi wa ukhravi favayid ka bhi hamil hai.lihaza hame koshish karni chahiye ki har namaz ke liye wazu karte wakht miswaq kar liya karen,albatta agar miswaq na mayassar ho to apni ungliyon ko miswaq ki jagah islemal kar len ki Sarkar Sallallahu Alaihi O Sallam ne irshad farmaya:Ungliyan miswaq se kifayat karti hai. (Sunne Kubra:1/41)

Ungli ka istemal karna agarche miswaq ki jagah kafi hoga magar miswaq ki fazilat nahi hasil ho payegi,lihaza koshish karen ki misvakh hi istemal kiya jaye.


MISWAQ KE FAVAYID

Hadise paak aur saince dono ke tajarbe ke mutabik miswaq ke be shumar favayid hain,allama shami alaihi rahamat ne miswaq ke bare me tahrir farmaya hai ki miswaq karne wale ke liye miswaq ke mundarz jail favayid hai:
  1.  Budhape me takhir karti hai.
  2.  Basarat ko tez karti hai.
  3.  Miswaq ki behtarin khubiyon me se ye hai ki voh har bimari ke liye shifa hai siva e mauth ke.
  4.  Muh ki safayi ka zariya hai.
  5.  Raab tala ki raza ka sabab hai.
  6.  Malayika ko khush karti hai.
  7.  Muh ki gandagi ko dur karti hai aur kide lage huye dant ko sahi karti hai.
  8.  Barast ko zila bakhshti hai.
  9.  Masoodon ko mazbut karti hai.
  10.  Khane ko hazam karti hai.
  11.  Khane ko hazam karti hai.
  12.  Namaz ke Ajron-Savab ko badati hai.
  13.  Quran ke raste yani muh ko saaf karti hai.
  14.  Fasahat ko badati hai.
  15.  Meda ko kuvvat deti hai.
  16.  Shaitan ko naraz karti hai.
  17.  Nekiyon me Izara karti hai.
  18.  Safra(ek zard Rang ka kadva madda)ko kaat ti hai.
  19.  Balon ki jadon ko mazbut karti hai.
  20.  rooh ke nikalne ko asan karti hai.isi tarha allama hasan bin ammar alaihi rahamat  miswaq ke favayid ke bare me tahrir farmate hain.
  21.  Misvakh karna firisto ki sunnat hai.
  22.  Farishte miswaq karne wale ke chehre ke noor ke sabab usse musafah karte hain
  23.  Farishte miswaq karne wale ke saat chalte hain,jab voh namaz ke liye nikalta hai.
  24.  Hamiline arsh firiste uske liye istighfar karte hain,jab voh masjid se nikalta hai.
  25.  Amal nama sidhe haat me diya jayega.
  26.  Miswaq karna allah tala ki yitaAt va farmabardari par badan ko khuvvat deta hai.
  27.  Khaza e hazat par madad karta hai.
  28.  Miswaq karne vale ke liye khabr khushada ho jati hai.
  29.  Lahad me Munis va Ghamkhwar hoti hai.
  30.  Miswaq par mudavmat karne ke liye uss din ka bhi azr likha jata hai jiss din usne kisi majburi ki wazah se miswaq nahi ki.
  31.  Jannat ke darvaze khole jate hain.
  32.  Farishte Miswaq karne wale ke MutAllik kahate hain ki ye Ambiya Alaihissalam ki pairvi karne vale aur unke tarikhe par chalne wala hai.
  33.  Jahannam ke darvaze uss par band kar diye jate hain.
  34.  Miswaq karne wala iss duniya se pakizgi ki halat me nikalta hai.
  35.  Hazrat Malkul Maut Alaihis Salam Miswaq karne vale ki rooh kabz karne ke vakht usi surat me ate hain jis surat me ambiya va Auliya ke pas ate hain.
  36.  Duniya se Rukhsat hote vakht nabi e mukarram rasoole mohram Sallallahu Alaihi O Sallam ke Hauze se rairab kiya jata hai aur voh rahike mukhtum(Khalis Shahad ka mohr shuda mashrub)hai.
Mere pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam ke pyare divano.insan ka koi bhi amal do maksad ke liye hota hai.ya to uska usme koi duniyavi fayda hota hai ya akhirat ki koi bhalayi makhsood hoti hai miswaq karna yesa alam hai ki usme duniya ke bhi mutaAdid favayid  muzmar hain aur akhirat ke bhi mukhtalif fazayil poshida hian jaisa ki apne mazkura sutur me mulahza farmaya.lihaza hame har namaz se khabl misvakh karne ki adat banani chahiye.