A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 2:54:00 PM by shayarkishayari in    No comments
Figs
Fig yani Anjeer ek mazedar,Sehath mand aur bahuth kamo me istemal hone vala fal hai.iss ke pake fal ko log khate hain.sukhaya fal meve ke tarikhe yani dried food ke hisab se bikta hai. Sukhe fal ko tukde-tukde karke  ya pis kar dood aur chini ke saath khaya jata hai.iss ka mazedar zaim( fal ke tukdon ka murabba) bhi banaya jata hai.Sukhe fal me chini ki mikdar lagbhag 62% aur taze pake fal me 22% hoti hai.isme calcium aur vitamin"A" aur "B" kafi mikdar me paya jata hai. Anjeer or Figs ke istemal se khabz door hoti hai.Sehath achchi rahati hai aur kamjori door hoti hai.saath me khansi bhi khatam ho jati hai.

Star Anise Ke Sehatmand Faide

dates fruit
Anjeer me carbohydrate 63%,Protein 5.5%,Seluloz 7.3%,Chiknayi 1%,Mineral salt 3%,Acid 1.2%,Raak 2.3%,aur pani 20.8% hota hai. Iske Alava 100 gram Anjeer me lagbhag 1 gram ka chavtha hissa Iron,Vitamin, thoda sa Chuna,Potassium,Sodium,Sulfur,Phosphoric acid Aur gond bhi paya jata hai.

Ayiye ham Aap ko batate hain ki healthy fruit Anjeer(figs) ke istemal se kai-kai faide ho sakte hain.
  1. Anjeer me digar fa'lon ke mukable me behtar gizayiyath hai.
  2. Anjeer Bavasir ko khatam kar deta aur jodon ke dard ke liye mufid hai.
  3. Anjeer nahar muh khane ke ajibo gharib faivayid hai.
  4. Khushk anjeer sakht ho to un ko kamo besh 25 minute pani me bhigo dijiye aur dho kar chaon me sukha dijiye Insha Allah Azzawajal narm ho jayenge.sabjiyan,fal,khushk meve vaghaira mumkina surath me dho kar hi istimal kiye jayen taki jarasim kushk adviya ka asar dhul jaye.
  5. Agar khooni Bavasir ho to panch adad anjeer tukde kar ke pav bhar dood me ubal kar thanda kar ke rozana sone se pahale kha lijiye.Insha Allah Azzavajal thode hi dino me khoon band ho jayega.ye amal mustakil jari rakhen to bahuth achcha hai.
  6. khushk Bavasir ke sabab bahuth dard ho to pani me ek chamcha shahad mila kar uss ke saath nahar muh yani nashte se kabl aur agar roza ho to iftar me khali pet panch adad anjeer rozana khalijiyiye.
  7. Taza anjeer ka ras nichod kar masson ko lagaya jaye to masse jhad jane ki ummid hai.
  8. Jin ko Bavasir ki taklif kam magar bad hazmi zaida ho vo har kahne se kabl 3 adad anjeer kha len.
  9. Jin ke pet me bhoj ho jata ho vo har bar khana khane ke baad 3 adad anjeer kha len.
  10. Ye fal mote pet ko chota karta aur motapa door karta hai.
  11. Kamar ke dard vale rozana saath(7) adad me iss fal kha liya karen.
  12. Jis ko khabz rahata ho vo rozana nahar  muh 5 adad iss fal ko kha len.
  13. Anjeer khane se haiz ke khoon me yizafa aur dood me zaidati hoti hai.
  14. Ye fal me khansi aur dame ka ilaj hai.
  15. Ye fal chehre ka rang nikhar ne ke liye mufud hai.
  16. Aur Ye fal  purani balghami khansi ke liye nafa baksh hai.
  17. Anjeer balgham ko patla kar ke nikal deta hai.
  18. Anjeer ka guda bukhar ke doran mariz ke muh ko khushk nahi hone deta
  19. Methi ke binj aur anjeer pani me paka kar khub gada kar ke uss me shahad mila kar khane se khansi ki shiddat me rahat hoti hai.
  20. Ye fal Gurda aur Masan(Yani peshab ki theli)ki sojish ke liye mufid hai.
  21. Safed anjeer sab se behtarin mana jata hai.ye gurda,masana aur pitte ki paththari ko hal kar ke nikal deta hai.
  22. Agar kisi ke gurde fel hon aur vo tavil muddath tak anjeer istimal kare to "Bi Fadlihi Tala" uss ko sehath mil sakti hai.
  23. Iss fal ne  pet ki rih ko bahar nikalta hai.
  24. Anjeer aur badam mila kar kayen to pet ki aksar bimariyan door bhaghti hai.
  25. Anjeer halaq ki sojish.sine ke bhoj aur fefdeon  ki sujan me fayda karta hai.
  26. Ye fal jigar aur tilli ko saaf karta hai.
  27. Ye fal jigar aur pitte ke sudde yani gandi ganthon ko nikalta hai.
  28. Ye fal chati ki purani sojish ke liye nafa bakhsh hai.
  29. Anjeer ko josh diye huye pani ke gharare karne se masudon aur gale ki sojish kam hoti hai.
  30. Khushk anjeer ko jala kar uss ki rakh se manjan karne se danth ka mail aur dhabbe door hote hain.
  31. Jav Sharif ki roti aur anjeer mila kar khana mutaAdda dimaghi amraz ka ilaj hai.
  32. Ye fal  Blood Pressure(B.P) aur kolestrol(Cholestrol) ke mariz ke liye mufid hai.
Iss fal me bahut sari chote bade bimariyan ka ilaj kiya jata hai lihaza iss fal ko roz marra jindagi me istemal karte rahe aur sehathmand rahe.